Shok nahi mujhe magar aisa bhi nahi ke hairat nahi
Kaise dagar se bichda mai phir saahil tak pahucha hi nahi
Gajab hua us din jab tune haskar ye keh diya mujhse
“Waise gaafil tere jaisa duniya mai hota hi nahi”
Aansu nahi lahu tapka tha aankhon se meri par
Tune kaafir kaha mujhe aur phir kabhi tu lauta hi nahi
Ishq aur aawastha dono me haara mai aaj
Likhta hun gam e daastan aur koi chaarra hi nahi
Khulke baras jaye saawan jo aaj phir se to likhun
Milne ki khwaish aaj bhi hai magar milna gawara hi nahi